Haal-e-dil:
Kuch to Majburiyaan rahi hogi, Yun hi koi Bewafa nahi hota;
Guft-agu unse roz hoti hai, Muddatt-o-saamna nahi hota.
Jee bhohot chahta hai sach bolein, kya kare honsala nahi hota;
Raat ka intazaar kaun kare, aaj kal din me kya nahi hota.
-Dr. Basheer Badr.
Baat Nikle Gi To Phir Door Talak Jae Gi
Loug Be.Waja Udaasi Ka Sabab Poochein Ge
Ye Bhi Poochein Ge Ke Tum Itni Pareshan Kyon Ho?
Ungliyaan Uthein Gi Sookhey Howe Baalon Ki Taraf
Ik Nazer Dekhein Ge Guze Howe Saalon Ki Taraf
Chooriyon Per Bhi Kai Tanz Kiye Jain Ge
Kaanpte Hanthon Per Bhi Fiqre Kasey Jain Ge
Loug Zalim Hain Her Ik Baat Ka Taana Dain Ge
Baton Baton Main Mera Ziker Bhi Le Aain Ge
Unki Baton Ka Zara Bhi Aser Mat Lena !
Warna Chehre Ke Taa’sur Se Samjh Jain Ge
Chahe Kuch Bhi Ho, Sawalaat Na Karna Unse
Mere Bare Main Koi Baat Na Karna Unse
Baat Nikle Gi To Phir Door Talak Jaegi